Meri Pehli Panktiyan...

Maa

Maa kehti thi ki jab bhi dar lage toh ghar aajana,
Baba kehte the ladna apne dar se, kabhi haar na maan na.
Mujhe raahat  mili toh sirf Maa ke us aanchal mein,
Baar baar chhupta raha, hazaar baar roya bhi wahan.
Aur har ek baar sukoon mila mujhe, woh Maa nahi ek alag hi duniya thi.
Abhi  bhi sochta hoon, dhoondta bhi hoon, kabhi rona aaye toh sirf yeh soch kar aansoon behte hain,
Ki kya Maa itni door hai ya mein khudse.

Tum

Mujhe faasla pasand nahi tha kabhi, mazboori thi jo usko paal rahi thi,
Tum gaye toh aise gaye, mein abhi bhi lad raha hoon un raaston se.
Wapas toh nahi la sakta, woh beete hue lamhein,
Mod nahi sakta, woh gujre hue pal,
Lekin yaad karke hans toh sakta hoon, un haseen lamhon par, tumhare un waadon par,
Woh har ek baat par jo hamne saath mein kahi thi. Aur apne aap par.
Kab se dhoondh raha khud ko, milta hi nahin hoon,
Aisa lagta hai main chhipa nahin, laapata hoon.

Ek Packet Ummeed

Kabhi kabhi yeh sochke hairan hota hoon, pareshan bhi,
Ki tumhare aane ka ilm nahi tha, lekin door jaane ka itna afsos kyun hai.
Tum na  meri thi, na kabhi ho  paati,
Lekin  ummeedein tab bhi thi, ab abhi hain. 
Main bhi apni khwahish ke bojh ke tale daba,
Un saari chahaton ko yehi kehke samjha raha hoon, ki hum phir milenge,
Kuch der baad.

Chund tasveerein dil ke kuch kono mein, abhi bhi bikhri hui hain,
Unko sametne ka kuch aur hi maza hai.
Lekin jab jab woh yaadon bhari hawa chalti hai, apne aapko le chalta hoon un dinon mein,
Jab humne bhi duniya ki parwaah nahi ki thi.
Subah uthke tokri bhar ummeed liye nikalta hoon,
Yehi sochta hoon, ki hogi sunwaayi kabhi, aur lagegi haaziri meri bhi.

Meri chuppi meri humsafar kab se hai, 
Maine jeeti hain kuch jung bhi, chup reh reh ke.
Ab shayad haara nahi, par thak chuka hoon,
Neend nahi aane par jhooti neend sota hoon.
Mujhe kisi se shikayat nahi ratti bhar,
Bhala ho bhi kyun, maine bhi ki hai laakhon galtiyan.
Sawaal maine bahut poochhe apne aapse, jawab mile bhi, nahi bhi,
Lekin khush nahi ho paya main, aur na hi khush kar paya kisi ko.

[Would like to thank Suruchi for helping me edit this]

Comments

Bulbul said…
Well, I would say it's a good attempt and worth appreciating.But your struggle with the language is easily visible.
As a BIASED FAN OF YOU AND HINDI LANGUAGE..I am loving it..:)..:)
Let the words flow!!!!